flyingme 12 years ago
I Am Your Friend
we are far away from each other
But you know that I am here.
You can feel me in your heart
As you enter each new day
I will always be there for you
I am your friend.
Someone to share the good times
As well as the bad.
I make no judgments by what you say
I just listen with my heart and
Hope to be of help in anyway I can
I will be there for you now and forever
And always please remember I am your friend
ikaajazshaam 12 years ago "MAIN AUR MERI AWAARGI
Phirte hain kab se dar-
ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar
Main aur meri awaargi
Na aashna har rehguzar
Na meherbaan har ek
nazar
Jaayein to ab jaane
kidhar
Main aur meri awaargi
Hum bhi kabhi aabaad
the
Aese kahaan barbaad
the
Befikr the aazaad the
Masroor the dilshaad the
Wo chaal aesi chal gayaa
Hum bujh gaye dil jal
gayaa
Nikle jalaa kar apanaa
ghar
Main aur meri awaargi
Wo maah-e-vash Wo
maah-e-rooh
Wo maah-e-kaamil hu-
ba-hu
Theen jis ki baatein ku-
ba-ku
Us se ajab thi guftaguu
Phir yoon huwa wo kho
gaya
Aur mujh ko zid si ho gai
Laayeinge us ko dhoond
kar
Main aur meri awaargi
Ye dil hi tha jo seh gayaa
Wo baat aesi keh gayaa
Kehne ko phir kya reh
gayaa
Ashkon ka dariyaa beh
gayaa
Jab keh ke vo dilbar
gayaa
Tere liye main mar
gayaa
Rote hain us ko raat bhar
Main aur meri awaargi
Ab gham uthaayein kis
liye
Aansu bahaayein kis liye
Ye dil jalaayein kis liye
Yoon jaan gawaayein kis
liye
Peshaa na ho jis kaa
sifar
u hi phirte hen ab dar badar
men aur mri awargi.
ikaajazshaam 12 years ago Agar kabhi koi lamha
Aisa zakhm de jaye
K koi bhi marham us
Zakhm ko na bher paye
Tum udas mat hona
Mehv-e-yaas mat hona
Zindgi k sub mausam
Aik se nahi hote
Saray log ay humdum
Aik se nahi hote
Zindgi ki rahon main
Hadsey bhi atey hain
Hadson se barh ker kuch
Waaqay bhi atay hain
Waqt k hi marhum se
Zakhm bher bhi jatay hain
Din buray hon ya achay
Bus guzer hi jatay hain
Waqt ko guzerna hai
Zakhm ko bhi bherna hai
Dard k charhay derya
Ko abhi uterna hai
Tum udas mat hona
Mehv-e-yaas mat hona
ikaajazshaam 12 years ago Ta `abeer main tu too meray paas nahin
Khawaboon main tu too mera hai
Mere rahoon main andhera he sahi
Mere sochon main tu sawaira hai
Youn tu lakhon chehray hain es duniya main
Mere ankhon main sirf tera chehra hai
Kya haseen tuhfa diya yadon ka
k meri tahreer main bhi ab tu rang tera hai
Hina daiti hai dua tu jahan rahe shaa-o-abad rahe
Meri ye sooch he k tu mera hai