ikaajazshaam 10 years ago Suno.....
Naraaz Ho Hum Se?
Magar Hum wo Hen
Jin Ko To
Manaana b Nahi Aata
Kisi Ne Aaj Tak Hum Se
Muhabbat Jo Nahi Ki Hay
Muhabbat Kesi Hotii Hay?
Hamary Shehar k Atraaf Men To
Sakht Pehra Tha
Khizaown Ka
Aur Iss Shehar-e-Preshan
Ki Faseelen
Zard Belon Se Ladi Thin
Aur Un Men
Na Khushboo Thi,
Na Koi
Phool
Din bhar k thaky Hawa Hum Per
Qadam Rakhti
To Uss k Paaown k Neechay
Hamara Dam Nikal Jata
Magar Pat Jharr Ka Wo Mousam
Suna He
Tal Chuka Ab To
Magar Jo
Haar Hona Thi
So Wo To
Ho Chukii Hum Ko
Suno.....
Haary Hove Logoon Se
To Rootha Nahi Karty...!!!..
ikaajazshaam 10 years ago Aslam o aliqum
how r u friend
gud morning 2u
ikaajazshaam 10 years ago Kuch Aise Log Jo Khas Bohut !!
Jo Dost B Hoon Or Piyare B!!
Tareef Mein Jin Ki Lafz Na Hoon !!
To Aam Se Lafz Hum Likhein Kyn!!
Kuch Safhay
Kuch Linain
Kuch Warq !!
Kyn Na Khali Rehne Dain !!
Or Tum se Piyare logon Ko
Sirf !!
Hum
Apne Dil Mein Hi Rehne Dein!
~♥•$hååm•♥~
ikaajazshaam 10 years ago Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra…
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra…
Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela…
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra…
Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain…
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra…
Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta…
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra…
Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho…
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra…
Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per…
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai…
To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra…
Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna…
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra…
tahirNAZ50 10 years ago m nhe bhola paya.
Jaldi sy aa jao.s.
ikaajazshaam 10 years ago Hijar Ka Taara Doob Chala Hai
Dhalne Lagi Hai Raat Wasi
Qatra Qatra Baras Rahi Hai
Ashkon Ki Barsaat Wasi
Tere Bad Ye Duniya Wale
Mujh Ko Pagal Kar Den Gay
Khushbu K Dais Men Mujh Ko
Le Chal Apne Sath Wasi
Yun Hi Chup Ki Mohar Laga Kar
Kb Tak Ghum Sum Betho Gay
Khamoshi Se Dam Ghut_Ta Hai
Cherro Koi Bat Wasi
Aj To Us Ka Chehra Bhi Kuch
Badla Badla Lagta Hai
Mosam Badla, Duniya Badli,
Badl Gay Haalat Wasi
Mere Ghar Khushiyon Ka Ye Raqs
Usi K Dam Se Hai
Us K Sath Chali Jay Gi
Pholoon Ki Baraat Wasi
Chor Wasi Ab Us Ki Yaden
Tujh Ko Pagal Kar Den Gi
Tu Qatra Hai Wo Darya Hai
Dekh Apni Auqaat Wasi